mahfil-e-naz se main ho ke pareshan utha baithne bhi nahin paya tha ki tufan utha zid na kar ai dil-e-nashad, kaha man utha ghar mein rahne ka thikana nahin saman utha ban rawadar ye apnon ki shikayat kaisi nam isi ka to murawwat hai ki nuqsan utha sab sitare nahin is rahguzar ke zarre dil ke tukde bhi inhin mein to hain pahchan, utha thokaren kha ke musibat ki samajh to aai aadmi ban to gaya, chaunk to insan utha maslahat waqt ki aaj aur hai ai baada-farosh kal ki kal sochenge is waqt to dukkan utha aise bohtan lagae ki khuda yaad aaya but ne ghabra ke kaha mujh se ki quran utha aaj hai kis liye aisa tera andaz-e-hijab ajnabi kaun hai mahfil mein pakad kan utha dekh ye bar kabhi sar se utarta hi nahin zindagi bhar ki musibat hai na ehsan utha sher-goi nae andaz ki tajdid-e-khayal dekhna chahe to 'natiq' mera diwan utha