kyun kisi se wafa kare koi dil na mane to kya kare koi na dawa chahiye mujhe na dua kash apni dawa kare koi muflisi mein mizaj shahana kis maraz ki dawa kare koi dard ho to dawa bhi mumkin hai wahm ki kya dawa kare koi hans bhi leta hun upri dil se ji na bahle to kya kare koi maut bhi aa saki na munh-mangi aur kya iltija kare koi dard-e-dil phir kahin na karwat le ab na chaunke khuda kare koi ishq-bazi ki intiha malum shauq se ibtida kare koi kohkan aur kya bana leta ban ke bigde to kya kare koi apne dam ki hai raushni sari dida-e-dil to wa kare koi shama kya shama ka ujala kya din chadhe samna kare koi ghaalib aur mirza 'yagana' ka aaj kya faisla kare koi
Please share if you liked this!!!