kyun malamat ka hadaf gardish-e-paimana bane laghzish-e-pa se meri kaba-o-but-khana bane aql ke bas ki nahin bakhiya-giri phulon ki dard jis ko ho gulistan ka wo diwana bane lab-e-hikmat se shab-o-roz ujale tapke tira-zehni ka magar ye bhi mudawa na bane be-sabab shauq nahin mail-e-afsana-gari har haqiqat ki ye khwahish hai ki afsana bane rukh-e-jaanan ke tasawwur hi mein raaten guzrin chand-tare dil-e-mahjur ki duniya na bane aashna fasl-e-bahaaran hi nahin hai shayad kya kahin phul ki kyun sabza-e-begana bane main to hun sham-sifat-soz sarapa 'shibli' jis ko jalna nahin aata ho wo parwana bane