ab is qadar bhi to be-abru na samjha jae ki aarzu ko meri aarzu na samjha jae tumhaari yaad ka har zakhm rista rahta hai main be-wuzu hun magar ba-wazu na samjha jae main apne aap se khalwat mein baat karta hun use maraz ai mere chaara-ju na samjha jae wo apna aks agar mujh mein dekh hi na sake to aaine ko mere ru-ba-ru na samjha jae main sirf sunta hun aur sirf bolta wo hai use khuda ke liye guftugu na samjha jae ye ek roz koi inqalab laega mera lahu hai use bas lahu na samjha jae bhatak raha hai agar dil namaz mein to miyan jo qibla-ru hai use qibla-ru na samjha jae