kyun na ho baam pe wo jalwa-numa tisre din mah bhi chhup ke nikalta hai dila tisre din hath se ab to qalam rashk-e-masiha rakh de nuskhe badle hain jahan ke hukama tisre din gharq-e-dariya-e-mohabbat ki nahin milti lash warna duba hua nikle hai suna tisre din dil-e-bimar rahe ishq mein kyun kar sarsabz khak se dane ko hai nashw-o-numa tisre din chhod mat zulf ke mare ko tu dariya mein hanuz sanp ke kate ko dete hain baha tisre din ab zara chashm ke bimar ka kar apne ilaj hoti malum hai tasir-e-dawa tisre din log kahte hain ki hain phul tere kushte ke mehndi haton mein tu qatil laga tisre din umr ek hafta nahin bagh mein ai gul mat phul rang badle hai zamane ki hawa tisre din chaar harf us but-e-pur-khun ke upar bhej 'nazir' aap se aap jo ho jae khafa tisre din