tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baitha hun main lahren aati jati rahti hain dekha karta hun main kaun sa lafz ada hone ka pas-manzar hai mera wajud kis ka haul hai mere dil mein kaisa sannata hun main hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main khali dar-o-diwar ki khushbu pagal rakhti hai mujh ko jaane kahan wo phul khila hai jis ka man-jaya hun main sab ye sochte hain 'farhat-ehsas' tamasha hai koi main ye sochta rahta hun kis mitti ka putla hun main