kyun na ho zikr mohabbat ka mare nam ke sath umr kati hai isi dard-e-dil-aram ke sath mujh ko duniya se nahin apni tabahi ka gila main ne khud saz kiya gardish-e-ayyam ke sath ab wahi zist mein hai ye mere dil ka aalam jaise kuchh chhutta jata hai har ek gam ke sath tujh se shikwa nahin saqi teri sahba ne magar dushmani koi nikali hai mere jam ke sath jo kare fikr-e-rihai wahi dushman thahre uns ho jae na tair ko kisi dam ke sath zist ke dard ka ehsas kabhi mit na saka sin khushi ke bhi kate ek gham-e-be-nam ke sath man-e-taqsir kahun dawat-e-taqsir kahun nigah-e-narm bhi hai garmi-e-ilzam ke sath apni is aaj ki taqat pe na yun itrao mehr uttha tha har ek subh-e-shab-anjam ke sath main tujhe bhul chuka hun magar ab bhi ai dost aati jati hai nigahon mein chamak sham ke sath ab bhi kafi hai ye har shor pe chhane ke liye koi ulfat ki azan de to tere nam ke sath aa gaya khatm pe sayyaad tera daur-e-fusun ab to dana bhi nahin hai qafas-o-dam ke sath kakh-o-aiwan yahi guzre hue dauron ke na hon gard si aai hai kuchh daman-e-ayyam ke sath main tera ho na saka phir bhi mohabbat main ne jab bhi duniya ko pukara to tere nam ke sath khuld ujdi hai to ab apne farishton se basa hum se kya hum to nikale gae ilzam ke sath hujra-e-khuld hai hur-e-sharar-andam nahin saqiya aatish-e-rangin bhi zara jam ke sath zikr-e-'mulla' bhi ab aata to hai mahfil mein magar phiki tarif mein lipte hue dushnam ke sath meri koshish hai ki sheron mein samo dun 'mulla' subh ka hosh bhi diwangi-e-sham ke sath do kinaron ke hun mabain mein ek pal 'mulla' rakhta jata hun sutun ek har ek gam ke sath