kyun zist ka har ek fasana badal gaya ye hum badal gae ki zamana badal gaya sayyaad yan wahi wahi tair wahi hain dam lekin jo zer-e-dam tha dana badal gaya bazi-e-husn-o-ishq mein kuchh haar hai na jit nazren milin dilon ka khazana badal gaya bakht-e-bashar wahi hai bisat-e-jahan wahi har daur-e-nau mein mat ka khana badal gaya taqat ke dosh par hai azal se bashar ki lash bas thodi thodi dur pe shana badal gaya mahfil ke hasb-e-zauq hai mutrib ka saz bhi mahfil badal gai to tarana badal gaya in dagh-ha-e-dil mein koi zakhm-e-nau nahin shayad kisi nazar ka nishana badal gaya 'mulla' ko zor-e-taba hua faislon ki nazr dariya abhi wahi hai dahana badal gaya