kyun rang-e-surkh tera ab zard ho gaya hai tu hi magar hamara hamdard ho gaya hai we din gae ki dil mein rahta tha dard apne ab dil nahin sarapa ek dard ho gaya hai itna to farq mujh mein aur dil mein hai ki tujh bin main khak ho gaya hun wo gard ho gaya hai hai chaak chaak sina kyunkar chhupe tu dil mein ye to makan sara be-pard ho gaya hai kis tarah shaikh chhede ab dukht-e-raz ko aa kar is tarf se bechaara namard ho gaya hai yan kya na tha jo wan ki rakkhe 'hasan' tawaqqo donon jahan se apna dil sard ho gaya hai