tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana wo adab-gah-e-mohabbat wo nigah ka taziyana ye butan-e-asr-e-hazir ki bane hain madrase mein na ada-e-kafirana na tarash-e-azrana nahin is khuli faza mein koi gosha-e-faraghat ye jahan ajab jahan hai na qafas na aashiyana rag-e-tak muntazir hai teri barish-e-karam ki ki ajam ke mai-kadon mein na rahi mai-e-mughana mere ham-safir ise bhi asar-e-bahaar samjhe unhen kya khabar ki kya hai ye nawa-e-ashiqana mere khak o khun se tu ne ye jahan kiya hai paida sila-e-shahid kya hai tab-o-tab-e-jawedana teri banda-parwari se mere din guzar rahe hain na gila hai doston ka na shikayat-e-zamana