kyun shahr mein har-samt se uthta hai dhuan dekh kya haal mohalle ka hai ja apna makan dekh aafaq udanon ke abhi aur bahut hain ai tair-e-parwaz kabhi apna jahan dekh deta nahin nafrat ka shajar dhup mein saya behtar hai koi saya-e-diwar aman dekh aakash ye taron ki ziya dekhne wale agle hai zamin chand bhi suraj bhi yahan dekh lagta hai koi tir jigar chir ke nikle lachke hai sitamgar tere abru ki kaman dekh kyun kahte hain sab mujh ko buzurg aap buzurg aap aa tu bhi mere mathe pe sajdon ke nishan dekh kahna hi pada 'nur' ke ashaar ko sun kar kya khub hai zalim ka bhi andaz-e-bayan dekh