kyun tirgi si chhai charaghon ke darmiyan kya husn chhup gaya hai naqabon ke darmiyan nasur ban gaya kai salon ke darmiyan ek zakhm jaane kaisa hai chhaalon ke darmiyan wo nind mein bhi aankh se ojhal na ho janab us ko basa liya hai nigahon ke darmiyan shiddat hai pyas mein to sarowar ke ja qarib kab tishnagi miti hai sarabon ke darmiyan aulad pe agar jo musibat na hoti aaj kyun man ka hath rukta niwalon ke darmiyan yun hi janab hum ko ye ohda nahin nasib salon hai sar khapaya kitabon ke darmiyan jo ghaur se padhoge sawalon ko bar bar mil jaega jawab sawalon ke darmiyan sahil ko todne ki himaqat kiye baghair lahren uchhal rahi hain kinaron ke darmiyan milta nahin hai kuchh bhi taraddud kiye baghair kante bhare pade hain gulabon ke darmiyan shayad mere sanam ne kiya yaad mujh ko aaj hichki tabhi hai aai niwalon ke darmiyan