subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya ki adliya ne wahi faisla purana kiya hawa ke apne masail hain aur charagh ke bhi na wo ghalat na amal us ne mujrimana kiya ye tum ne jang ka unwan hi badal dala alam sajaya na lashkar koi rawana kiya hari bhari thin jo shakhen wahi phalin phulin usi shajar ko parindon ne aashiyana kiya sawal main ne bhi rakkhe guzarishon ki tarah badal ke us ne bhi andaz-e-dil-barana kiya mere liye hi adawat ke dar bhi khole gae mere hi nam mohabbat ka bhi khazana kiya hamesha wade hue taj ke hawale se agarche takht ne wada kabhi wafa na kiya