kyunkar aaun miyan palat kar main khush bahut hun use lipat kar main dosto hun bada bade ghar ka is liye rah gaya hun bat kar main mujh ko milna tha har kisi se aur jaane kyon rah gaya hun kat kar main mera uslub mera apna hai sochta hun sabhi se hat kar main mere andar hai ishq ka barud so dikhaunga tujh ko phat kar main nind se hatha-pai karni thi gir pada khwab par jhapat kar main ishq tha dard ka sabaq 'mannan' aur use aa gaya hun rat kar main