kyunkar bhala lage na wo dildar dur se

kyunkar bhala lage na wo dildar dur se
duni bahaar dewe hai gulzar dur se

nazdik hi se sharm hai itna to ho bhala
dekha karen kabhi kabhi didar dur se

ji to bhara na apna kisi tarah kya hua
dekha agar use sar-e-bazar dur se

be-ikhtiyar uthti hai buniyaad-e-be-khudi
aati hai jab nazar teri diwar dur se

nazdik tuk bitha ke 'hasan' ka to haal dekh
aaya hai qasd kar ke ye bimar dur se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close