wahi meri kam-nasibi wahi teri be-niyazi mere kaam kuchh na aaya ye kamal-e-nai-nawazi main kahan hun tu kahan hai ye makan ki la-makan hai ye jahan mera jahan hai ki teri karishma-sazi isi kashmakash mein guzrin meri zindagi ki raaten kabhi soz-o-saz-e-'rumi' kabhi pech-o-tab-e-'raazi' wo fareb-khurda shahin ki pala ho kargason mein use kya khabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shahbazi na zaban koi ghazal ki na zaban se ba-khabar main koi dil-kusha sada ho ajami ho ya ki tazi nahin faqr o saltanat mein koi imtiyaz aisa ye sipah ki tegh-bazi wo nigah ki tegh-bazi koi karwan se tuta koi bad-guman haram se ki amir-e-karwan mein nahin khu-e-dil-nawazi