kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log pariyon ko phans lete hain hindostan ke log aapas mein ek dusre se aashna nahin zer-e-zamin bhare hain ilahi kahan ke log bagh-e-jahan se jate nahin jaanib-e-bahisht nahaq tamanche khate hain baad-e-khizan ke log shahr-e-wafa ka sajda-e-shukrana hai yahi patthar se sar patakte hain shahr-e-butan ke log zunnar se hai kam rag-e-jaan jis ke samne bande hue hain us but-e-na-mehrban ke log apni khabar le auron se kya kaam ai 'munir' kis ka zamana kaun si basti kahan ke log