laraz jata hai thodi der ko tar-e-nafas mera sar-e-maidan kabhi jab jast karta hai faras mera main khud se dur ho jata hun us se dur hone par rihai chahta hun aur muqaddar hai qafas mera zara mushkil se ab pahchanta hun in manazir ko qayam us khak-dan par tha abhi pichhle baras mera dua karta hun milne ki tamanna kar nahin pata bhala kya samna kar paenge ahl-e-hawas mera nahin bhulegi meri dastan-e-ishq-e-duniya ko ki sahra mein abhi tak nam leti hai jaras mera numud-e-aks ki is ko zamanat kaun de 'sajid' nahin hai jab shaguft-e-aina par koi bas mera