la-makan nam hai ujde hue virane ka hu ke aalam mein hai maskan tere diwane ka shauq-e-ruswa koi dekhe tere diwane ka khud wo aaghaz bana hai kisi afsane ka jam-e-dil baada-e-ulfat se bhara rahta hai wah kya zarf hai tute hue paimane ka dastan ishq ki hai puri sunaenge kalim qissa tur to ek bab hai afsane ka shama ne bazm mein jal jal ke jalaya aakhir aah kya hashr hua ishq mein parwane ka mustatar qulqul-e-mina mein hai raaz-e-masti bhed kis tarah khule phir tere mastane ka hashr mein dekh ke majma lab-e-kausar saqi phir gaya aankhon mein naqsha tere maikhane ka milte hi saghar-o-shisha se chhalak jata hai ye bhi kya daur hai saqi tere paimane ka kya qayamat hai ki mahshar mein bhi pursish na hui hashr ab dekhiye kya ho tere diwane ka safha dil mera aaina-e-ramz-e-tauhid raaz-e-kaunain khulasa mere afsane ka 'shauq' ab kis liye fikr-e-mai-o-mai-khana hai bharne wala to koi aur hai paimane ka