har naqsh-e-pa ko manzil-e-jaan manna pada muddat ke baad jab bhi tera samna pada aksar naqab-e-zabt hamein thamna pada jab bhi fasil-e-shab ko hamein phandna pada har bar bhulne ko ghamon ki aziyyaten har rishta-e-umid naya bandhna pada har aarzu se hum ko mili taza zindagi har aarzu ka hum ko lahu chatna pada ki thi haram khud-kushi mere khuda ne kyun be-wajh zindagi ka safar katna pada