la pila saqi sharab-e-arghawani phir kahan zindagani phir kahan nadan jawani phir kahan do ghadi mil baithne ko bhi ghanimat jaaniye umr fani hi sahi ye umr-e-fani phir kahan aa ki hum bhi ek tarana jhum kar gate chalen is chaman ke taeron ki ham-zabani phir kahan hai zamana ishq-e-salma mein ganwa de zindagi ye zamana phir kahan ye zindagani phir kahan ek hi basti mein hain aasan hai milna aa milo kya khabar le jae daur-e-asmani phir kahan fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizan aane ko hai ye chaman ye bulbulen ye naghma-khwani phir kahan phul chun ji khol kar aish-o-tarab ke phul chun mausam-e-gul phir kahan fasl-e-jawani phir kahan aakhiri raat aa gai ji bhar ke mil len aaj to tum se milne dega daur-e-asmani phir kahan aaj aae ho to sunte jao ye taza ghazal warna 'akhtar' phir kahan ye sher-khwani phir kahan