wahm kaisa guman mein bhi nahin tum faqiron ke dhyan mein bhi nahin hum dil-e-dostan mein rahte hain tum to apne makan mein bhi nahin ab wo patthar kahan se aaega ab tera ghar chatan mein bhi nahin warna tum ko farokht kar dete tum hamari dukan mein bhi nahin log raushan hain apni mitti se tum kisi khak-dan mein bhi nahin hum to apne paron pe udte hain tum parai udan mein bhi nahin aaj kya dhup tum ko chat gai aaj tum saeban mein bhi nahin ek rahat jo qurb-e-yar mein hai mai-kade ki aman mein bhi nahin us ke lahje mein wo mithas thi 'qais' apni urdu zaban mein bhi nahin