la raha hai mai koi shishe mein bhar ke samne kis qadar pur-kaif hai manzar nazar ke samne main to is aalam ko kya se kya bana deta magar kis ki chalti hai hayat-e-mukhtasar ke samne phir na dena tana-e-nakaami-e-zauq-e-nazar hausla hai kuchh to aa jao nazar ke samne aah ye rudad-e-hangam-e-tarab ai gham-gusar zikr-e-gulshan jaise ek be-baal-o-par ke samne ho chuka jab khatma sari umidon ka to phir ja rahe ho kyun 'shakil' us fitna-gar ke samne