us ke aane pe bhi nahin aai dard mein kuchh kami nahin aai umr bhar doston ne mehnat ki par hamein dosti nahin aai apne hi ghar pe aa nikalte hain hum ko aawargi nahin aai doston ke kisi latife par aaj hum ko hansi nahin aai hum ko bhi shauq zindagi ka tha kya kahin ras hi nahin aai ab ke aai bhi aur gai bhi bahaar fasl-e-diwangi nahin aai zindagi ban gai adu si 'shujaa' aur hamein maut bhi nahin aai