lab-e-dariya jo pyase mar gae hain junun ka nam raushan kar gae hain husaini qafila jab yaad aaya katore aansuon se bhar gae hain jinhen suraj ne bhi dekha na hoga wo nange panw nange sar gae hain wo kab ke ja base us par lekin kai yaaden yahan bhi dhar gae hain jinhen tha shauq mela dekhne ka wo sare log apne ghar gae hain hamare ahd ka ye alamiya hai ujale tirgi se dar gae hain tu un ko dhundhta phirta hai 'hasrat' jo duniya se kinara kar gae hain