wo mausam be-khudi ke the jo mausam hum guzar aae ki jab chaha tumhaare nam se khud ko pukar aae safar ki sab aziyyat muntazir aankhen agar le len paron mein taqat-e-parwaz phir be-ikhtiyar aae main tishna-lab zaminon par kahan tak chashm-e-tar rakhti safar mein zindagi ke har qadam par reg-zar aae ghamon ke dosh par jab qarya-e-jaan ka safar thahra charagh ashkon ke rakhe khwab palkon se utar aae mere khwabon ke sare rang jis ki mutthiyon mein hain na jaane ab wo kya chahe yahan kyun bar bar aae badalte mausamon ko khun se rangin pairahan de kar chalo hum dast-e-qatil ka har ek ehsan utar aae wafa ke tishnagi ke aur kuchh masum wadon ke ye sare qarz dekho hum lab-e-dariya utar aae