lab-e-gudaz pe alfaz-e-sakht rahte hain zaban-e-ghair ke lahje karakht rahte hain kahin kahin to ghulamon se bhi rahe bad-tar wo jin ke panw ki thokar mein takht rahte hain ruten badalti hain waqt ek sa nahin rahta tamam umr na bedar bakht rahte hain khizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi' sada-bahaar kahan tak darakht rahte hain