jaise in sajdon ka sar se rishta hai bilkul aisa mera ghar se rishta hai meri aankhen kuchh soi si rahti hain shayad in ka khwab-nagar se rishta hai tujh ko kaise bhul sakega dil mera tera mera to indr se rishta hai ai shahzadi sath hamare mat chalna banjaron ka dhup safar se rishta hai lauh-e-falak par likkhi hai jis ki izzat hum logon ka us ke dar se rishta hai jis ke sae mein hum bakhshe jaenge hum logon ka us chadar se rishta hai wo auron par sang uchhaale na-mumkin 'majid' ka shishe ke ghar se rishta hai