lab-e-jaan-bakhsh pe dam apna fana hota hai aaj isa se ye bimar juda hota hai zulf ko dast-e-hinai se jo chhuta hai wo shokh to giraftar wahin dard-e-hina hota hai tha giraftar-e-shab-o-roz nigahbani mein hum jo ab chhuten hain sayyaad riha hota hai phir bahaar aati hai ai khar-e-bayaban khush ho aaj kal phir guzar aabla-pa hota hai mar gae hum to saba lai jawab-e-nama wahi hota hai jo qismat mein likha hota hai