tamanna ban gai hai maya-e-ilzam kya hoga magar dil hai abhi tak tishna-e-paigham kya hoga wo betab-e-tamasha hi sahi ai tab-e-nazzara laraz uthta hai dil ye soch kar anjam kya hoga yahan jo kuchh bhi hai wo partaw-e-ehsas hai saqi ba-juz baada jawab-e-gardish-e-ayyam kya hoga kabhi jis ke yaqin se kaenat-e-ishq raushan thi wahi ab hai asir-e-halqa-e-auham kya hoga junun-e-shauq ka aalam hama masti sahi lekin ye aalam bhi jawab-e-shokhi-e-paigham kya hoga chale to ho mizaj-e-yar ki pursish ko ai 'bekal' magar ye soch lo andaz-e-istifham kya hoga