lab-e-khamosh mein pinhan hai koi raaz nahin zindagi saz hai jis mein koi aawaz nahin kyun na aaghosh-e-takhaiyul mein main udta hi rahun dar-haqiqat hai mujhe khwahish-e-parwaz nahin mere kirdar mein hai neki badi par bhaari kyun wo kar pae badi ko nazar-andaz nahin ye talluq jo kiya qata hua qissa tamam ye nai dastan ka nuqta-e-aghaz nahin ru-ba-ru aaine ke jaun to dikhta hai mujhe ajnabi shakhs jo ham-shakl-o-ham-awaz nahin hun to hargiz nahin paband-e-qawaed 'naqid' apni aawargi pe mujh ko magar naz nahin