jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna safar mein apnon se duriyon ki aziyyaten kya shumar karna jo mere dil ki ujad basti mein ek mausam thahar gaya hai bala se aae bahaar ya phir khizan ruten kya shumar karna jo raushni ka nagar kabhi tha wo aaj andheron mein gum hua hai ujad andheri udas viran imaraten kya shumar karna samet lenge hum apne daman mein apne hisse ki nafraton ko na thin hamare nasib mein jo wo chahaten kya shumar karna munafiqat ke gharaz ke rishton mein kyun wafa ko talashti ho khulus-e-dil gar na ho to aisi qarabaten kya shumar karna mohabbaton mein wo bhige lamhe wo guzre pal wo ruten jo bitin kahin fazaon mein kho gain jo wo saaten kya shumar karna bhula din hum ne jafaen sari sitam wo sare bhula diye hain jo tum ho apne to ab tumhaari adawaten kya shumar karna likhe the nam apne jin pe hum ne darakht sare wo kat chuke hain mita diya waqt ne jinhen wo ibaraten kya shumar karna rahin dilon mein na wusaten ab na fursaten ab na chahaten ab na ab mayassar kabhi jo hongi wo sohbaten kya shumar karna ye sim-o-zar ye harir-o-atlas ye jah-o-hashmat ye auj-o-sarwat sukun-e-dil hi na de saken jo wo rahaten kya shumar karna wo chahaten hain jo khun ban kar ragon mein dauran kar rahi hain mohabbaton se bhara ho daman to nafraten kya shumar karna teri raza pe jhuka ke sar ko jo zer-e-tegh-e-sitam kiya tha wo ek sajda hai sab pe bhaari ibaadaten kya shumar karna jo sham-e-bazm-e-sukhan kabhi the na koi ab un ko jaanta hai dawam jin ko hua na hasil wo shohraten kya shumar karna na jaane mahrumiyon ke kitne hi dagh dilbar saje hue hain kabhi jo puri na ho sakengi wo hasraten kya shumar karna ho raegan har safar to 'anjum' tamam raste hain ek jaise na manzilen jab nasib mein hon masafaten kya shumar karna