lab-e-khushk dar-tishnagi-murdagan ka ziyarat-kada hun dil-azurdagan ka hama na-umidi hama bad-gumani main dil hun fareb-e-wafa-khurdagan ka shaguftan kamin-gah-e-taqrib-jui tasawwur hun be-mojib aazurdagan ka gharib-e-sitam-didah-e-baz-gashtan sukhan hun sukhan bar lab-awurdagan ka sarapa yak-aina-dar-e-shikastan irada hun yak-alam-afsurdagan ka ba-surat takalluf ba-mani tassuf 'asad' main tabassum hun pazhmurdagan ka