ruTha tha tujhse yani KHud apni KHushi se main

rutha tha tujh se yani khud apni khushi se main
phir us ke baad jaan na rutha kisi se main

banhon se meri wo abhi rukhsat nahin hua
par gum hun intizar mein us ke abhi se main

dam-bhar teri hawas se nahin hai mujhe qarar
halkan ho gaya hun teri dilkashi se main

is taur se hua tha juda apni jaan se
jaise bhula sakunga use aaj hi se main

ai tarah-dar-e-ishwa-taraaz-e-dayar-e-naz
rukhsat hua hun tere liye dil-gali se main

tu hi harim-e-jalwa hai hangam-e-rang hai
jaanan bahut udas hun apni kami se main

kuchh to hisab chahiye aaine se tujhe
lunga tera hisab meri jaan tujhi se main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close