lab-e-rangin hain tere rashk-e-aqiq-e-yamani zeb deti hai tujhe nam-e-khuda kam-sukhani haar kal pahne the phulon ke nishan hai ab tak khatm hai gul-badanon mein teri nazuk-badani sharm se aab hue nishkar-o-qand-o-nabaat dekh kar ai shakarin-lab teri shirin-dahni mewa-e-bagh-e-iram us ko na bhawe hargiz taubar-e-bosa kiya jis ne wo seb-e-zaqni jhute wade tere ai jaan karun sab bawar dil shikasta na kare gar teri paiman-shikani shama-ruyon se jise sham-o-sahar sohbat ho hai saza-war use dawa-e-khush-anjumani is qadar mahke hai us kakul-e-mushkin ki shamim justuju mein hue 'bedar' ghazal-e-khutani