lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun mujhe wo pyas hai shayad ki main pani se mar jaun tum us ko dekh kar chhu kar bhi zinda laut aae ho main us ko khwab mein dekhun to hairani se mar jaun main itna sakht-jaan hun dam badi mushkil se niklega zara taklif badh jae to aasani se mar jaun ghanimat hai parinde meri tanhai samajhte hain agar ye bhi na hon to ghar ke virane se mar jaun nazar-andaz kar mujh ko zara sa khul ke jine de kahin aisa na ho teri nigahbani se mar jaun bahut se sher mujh se khun thukwate hain aamad par bahut mumkin hai main ek din ghazal-khwani se mar jaun teri nazron se gir kar aaj bhi zinda hun main kya khub taqaza hai ye ghairat ka pashemani se mar jaun