tauqir andheron ki badha di gai shayad ek shama jo raushan thi bujha di gai shayad phir dar-badari hone lagi us ka muqaddar phir shauq ke shoalon ko hawa di gai shayad mauhum nazar aata hai ab josh-e-mulaqat kuchh garmi-e-ehsas ghata di gai shayad is bar bhi shoalon ne macha dali tabahi is bar bhi shoalon ko hawa di gai shayad tiktin nahin duniya-e-haqiqat pe nigahen khwabon ki koi bazm saja di gai shayad aa thahri thi jo zabt ke asrar se bach kar aankhon se wahi bund gira di gai shayad qatil ko bithaya gaya sar par mere hote mujh ko meri auqat bata di gai shayad