lab-e-talab bhi na phir mail-e-sawal hua ki jab taqaddus-e-kashkol paemal hua ajib qaht-e-khayal-o-khabar se guzre hum kisi ne haal bhi pucha to ji bahaal hua mile ba-sai-e-rafu aur uthe gareban-chaak ye mashwara hua logo ki ishtial hua wo jal phaile hawa mein ki par-kushaon ko nashemanon ki taraf lautna muhaal hua ye hashr us ka hai suraj kaha gaya jis ko kabhi suna kisi zarre ko bhi zawal hua kuchh aise hadse bhi the jo zakhm-e-waqt ke the so kis se waqt ke zakhmon ka indimal hua ajab wo shahr-e-sitamgar tha chhod kar jis ko bahut khushi hui aur phir bahut malal hua wo ek musafir-e-haq-kosh tha so us ka ye ajr sadaqaton ke safar hi mein intiqal hua phirin kuchh aisi shab-afroziyan nigahon mein charagh-e-sham jala aur main nidhaal hua