lab hain KHamosh zaban salb nigahen qaidi

lab hain khamosh zaban salb nigahen qaidi
zindagi nam ke zindan mein hain sansen qaidi

kal jo khultin thin mohabbat ki hararat pa kar
ho gain aaj wo be-baq si bahen qaidi

koi aawaz na siski na koi chikh kahin
dard mahbus hai sahmi hui aahen qaidi

do ghadi ko hi haqiqat ye bhulane ke liye
khwab dekhe koi kaise ki hain aankhen qaidi

yas ke shahr mein ummid-e-sahar kaun kare
jab andheron ne bana rakkhi hon raaten qaidi

dasht-e-hasti ka hai darpesh safar muddat se
be-nishan manzil-e-maqsud hai rahen qaidi

gulshan-e-zist pe dala hai khizan ne dera
kya khabar kis ke chaman ki hain bahaaren qaidi

hum gunahgar-e-mohabbat ki muafi bhi nahin
hath uthte hi nahin lab pe duaen qaidi

zakhm mazi ke 'hina' rahte hain har dam taza
dil ke ek band dariche ki hain yaaden qaidi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close