khatkhatata hai dar-e-dil ki bhala zanjir kaun de raha hai mere khwabon ko nai tabir kaun meri aankhon ke hawale se mere rukhsar par likh gaya kajal se apne dard ki tahrir kaun jis ko pane ke liye mar mar ke jite hain sabhi qabr tak le kar gaya duniya ki wo jagir kaun jab khuda ne hi nahin likkha use mere liye us ko duniya mein bana deta meri taqdir kaun wo jo kahte the mohabbat nafraton ka hai jawab un labon par rakh gaya nafrat bujhi shamshir kaun ye zamin sabza ye pani aasman shams-o-qamar kaun hai in ka musawwir hai pas-e-taswir kaun mujh ko bakhsha hai khuda ne jab ye ghazlon ka hunar mere fan ki phir ghataega bhala tauqir kaun falsafa 'ghaalib' ke jaisa kaun likkhega 'hina' bhar sakega shairi mein phir se rang-e-'mir' kaun