lab kya khule ki quwwat-e-goyai chhin gai pesh-e-nigah wo the ki binai chhin gai honton pe dahshaton ki thi tughyani har taraf sare gawah khushk the sachchai chhin gai auron ke nam hi sahi sab sohbaten teri tere baghair bhi meri tanhai chhin gai zulm-o-sitam ki takht-nashini ke din jo aae ghar ghar udas shahr ki ranai chhin gai dast-e-nigah jab bhi uthe hain ufuq ki samt aafaq ke nasib ki gahrai chhin gai itni laziz tar thin ghalat-kariyan 'saba' mil kar gale burai se achchhai chhin gai