aaj phir dasht koi aabla-pa mange hai khar bhi tazgi-e-rang-e-hina mange hai zabt-e-gham dast-ras-e-ah-e-rasa mange hai ye andhera tere aariz ki ziya mange hai jaan-dahi tishna-labi aabla-pai be-sud dasht-e-ghurbat to kuchh is ke bhi siwa mange hai phunk raha hai gham-e-hasti se wajud-e-insan zindagi ab tere daman ki hawa mange hai aap chupke se use zahr ka piyala de den jo riwayat se baghawat ka sila mange hai chand sine se lagae hai mera naqsh-e-qadam aur suraj meri sanson ki sada mange hai