lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aath pahar nahin lagti meri talu se zaban aath pahar rawish-e-sair wo gulshan mein jo tuk ja baithe bulbulen gul ke uthaya karen kan aath pahar dar se ab nikle wo kyun us ko to ye hai manzur ki nikalti hi kisi ki rahe jaan aath pahar kyun-ki khun-rez rahe tez na wo tegh-e-nigah sang-e-surma se chadha karti hai san aath pahar kahte hain sab tere aashiq ko ki shayad ai wae hai giraftar-e-musibat ye jawan aath pahar dil ke lagne se ye dekha ki lage rahte hum aah khud-bakhud muztarib-ul-haal nadan aath pahar jis ka hai dhyan hamein us ko bhi apna hai khayal wae ghaflat ki ye hum ko hai guman aath pahar husn-e-khubi-e-butan kuchh na ada ho ba-khuda kije gar lakh baras tak ye bayan aath pahar turfa us jins-e-mohabbat ka bhi sauda dekha sud mein jis ke rahe khauf-e-ziyan aath pahar jab se hai hum se juda aah wo rashk-e-mah-o-mahr munh lapete hain bas aur hai yahi dhyan aath pahar raat ko raat samajhte hain na hum din ko din apni aankhon mein hai tarik jahan aath pahar in dinon aap mein tujh ko kabhi pate hi nahin kis ka rahta hai ye 'jurat' tujhe dhyan aath pahar