lab-o-ruKHsar o jabin se miliye

lab-o-rukhsar o jabin se miliye
ji nahin bharta kahin se miliye

yun na is dil ke makin se miliye
aasman ban ke zamin se miliye

ghut ke rah jati hai ruswai tak
kya kisi parda-nashin se miliye

kyun haram mein ye khayal aata hai
ab kisi dushman-e-din se miliye

ji na bahle ram-e-ahu se to phir
taer-e-sidra-nashin se miliye

bujh gaya dil to kharabi hui hai
phir kisi shola-jabin se miliye

wo koi hakim-e-dauran to nahin
mat daren un ki nahin se miliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close