hum sunaenge tujhe apna fasana ek din yun nahin ai zindagi fursat mein aana ek din baat lambi waqt thoda aankh nam hai aap ki is tarah bhi kya khabar thi hoga jaana ek din baat aai hai zaban pe arz kar dun jo kaho hum ne chaha tha tumhein apna banana ek din rah na jae koi hasrat kar guzar jo tujh se ho warna is andhe kuen mein sab ko jaana ek din ho saka na kuchh bhi hum se ai watan kar de muaf hum ne chaha tha tujhe jannat banana ek din sau tahon mein qaid hai ab har khushi insan ki sau tahon ko chir kar hai par jaana ek din baat apni gham purane aur teri dastan sun zamane kuchh hamein bhi tha sunana ek din in phuhaaron se na tutengi ye chattanen 'salil' le ke tum ko bijliyan ab hoga aana ek din