lab pe takrim-e-tamanna-e-subuk-pai hai

lab pe takrim-e-tamanna-e-subuk-pai hai
pas-e-diwar wahi silsila-paimai hai

takhta-e-lala ki har sham-e-farozan jaane
kis bhulawe mein mujhe dekh ke lahrai hai

khak-dar-khak chhupi hai meri aankhon ki chamak
jis kharabe mein teri anjuman-arai hai

apne hi panw ki aawaz se dar jata hun
main hun aur rah-guzar-e-besha-e-tanhai hai

phir sar-e-subh kisi dard ke dar wa karne
dhan ke khet se ek mauj-e-hawa aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close