lab se dil ka dil se lab ka rabta koi nahin hasraten hi hasraten hain muddaa koi nahin harf-e-gham-e-na-paid hai aankhon mein nam napaid hai dard ka sail-e-rawan hai rasta koi nahin apne man ka aks hai apni sada ki bazgasht dost dushman aashna na-ashna koi nahin sab ke sab apne garebanon mein hain dube hue gul se gul tak rishta-e-mauj-e-saba koi nahin haal-e-zar aisa ki dekhe se taras aane lage sang-dil itne ki honton par dua koi nahin kya koi rakib nahin hum mein samand-e-waqt ka naqsh-e-pa sab hain to kya zanjir-e-pa koi nahin main to aaina hun sab ki shakl ka aaina-dar bazm mein lekin mujhe pahchanta koi nahin dil ke dube se miti dast-e-shanawar ki sakat mauj ki tughyaniyon se dubta koi nahin aankh michoge to kanon se guzar aaega husn sail ko diwar-o-dar se wasta koi nahin arsh ki chahat ho ya patal ka shauq-e-safar ibtida ki der hai phir intiha koi nahin karwan 'khurshid' jaane kis gupha mein kho gaya raushni kaisi ki sahra mein sada koi nahin