main sochta tha ki wo zakhm bhar gaya ki nahin khula daricha dar aai saba kaha ki nahin hawa ka rukh to usi baam-o-dar ki jaanib hai pahunch rahi hai wahan tak meri sada ki nahin zaban pe kuchh na sahi sun ke mera haal-e-tabah tere zamir mein ubhri koi dua ki nahin labon pe aaj sar-e-bazm aa gai thi baat magar wo teri nigahon ki iltija ki nahin khud apna haal sunate hijab aata hai hai bazm mein koi derina aashna ki nahin abhi kuchh is se bhi nazuk maqam aaenge karun main phir se kahani ki ibtida ki nahin padho na ishq mein 'khurshid' hum na kahte the tumhin batao ki ji ka ziyan hua ki nahin