lab tak jo na aaya tha wahi harf-e-rasa tha jis ko na main samjha tha wahi mera khuda tha main dast-e-saba ban ke use chhed raha tha wo ghuncha-e-nau-ras tha abhi tak na khila tha patthar ki tarah phul mere sar pe laga tha is waqt sabhi roe the main sirf hansa tha utra tha rag-o-pai mein mere zahr ke manind wo dard ki surat mere pahlu se utha tha mahrum rakha tha mujhe meri hi ana ne jo uth na saka tha wo mera dast-e-dua tha har-chand ki nisbat to mujhe gul se rahi thi main bu ki tarah pairahan-e-gul se juda tha mahrumi ka ehsas raha us se na mil kar milne pe ye ehsas magar aur siwa tha jaise koi kuchh rakh ke kahin bhul gaya ho is tarah azal se wo mujhe dhund raha tha