lab taraste hain iltija ke liye hath uthte nahin du'a ke liye hum ne tanhaiyon mein kya kya lutf ek aawaz-e-be-sada ke liye wo rahe hum se dur dur to kya hum ne bose ada ada ke liye 'ishq ki wus'aten khuda ki panah hausla chahiye wafa ke liye gardishen aasman ko hain kya kya ek usi khak-e-zer-e-pa ke liye phul ko rang-o-ramish-o-nikhat aur aawargi saba ke liye mujh ko jo chaho naseho kah lo kuchh na kahna use khuda ke liye